Wednesday 10 April 2013

wasi shah


 kuch is tarah
Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah 





















intezar ha on ka

Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se,
Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se,
Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaye,
Meri palkon pe mera tera ghar hai keyi sadiyon se,
Ashk aankhon mein sulagtey huye so jatey hain,
Yeh meri aankh jo banjar hai keyi sadiyon se,
Kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
Tu meri rooh ke andar hai keyi sadiyon se,
Mene jis ke liye har kisi ko naraaz kiya,
Rooth jaye na yehi dar hai keyi sadiyon se,
Uss ko aadat hai jarr’en* kaat’tey rehne ki Wasi,
Jo meri zaat ka mehwar* hai keyi sadiyon se.

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai 
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai
Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai
Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai
Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai
Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai

Apna to chahton mein

Apna to chahton mein yehi ik asool hai
Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai
Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye
Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai
Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de
Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai
Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain
Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai
Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri
Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai
Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi
Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai

Haaye Wo Lamha Ke Jab 

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi
Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi
Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo
Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi
Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna
Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi
Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay
Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi

Kahin jaye usey meri duyayen

Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain
Usey kehna usey meri wafayain yaad karti hain
Main aksar aayiney ke samne bechain rehti hoon
Kisi ne khat mein likha hai, adayain yaad karti hain
Usey kehna khazayen aagayi hain ab to laut aye
Usey kehna december ki hawaayain yaad karti hain
Usey kehna ke aankhon mein ghanni badli si chaayi hai
Jinhain dil pe barasna hai, ghatayain yaad karti hain
Geya tha jab tu meri khawhishain bhi sath le jata
Lahuu mein naachti kuch iltjaayain yaad karti hain

Roshni Aur Baharain Tumhi

Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana
Mere jugnu mere mausam wapis kar do
Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe
Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do
Jane waley se bas itna hi kaha tha mene
Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do
Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n
Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do
Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi
Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do

Mere lehje mein jo aansu 

Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain
Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain
Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain
Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka
Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain

Tanzz Karte Hain Jo Log


Tanzz karte hain jo log un ko dikhane ke liye
Laut aao na mere yaar zamane ke liye
Is liye bhi teri tasveer jala di mene
Aur kuch tha hi nahin dil ko jalane ke liye
Tere baayess hi to saktay ka hai aalam taari
Khud ko naraaz kiya khud ko mananey ke liye
Aaj phir shaam guzari hai usi jungle mein
Un darakhton se tera naam mitaney ke liye
lover Purple Doves

Charha Howa Tha Jo Darya

Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka

Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka

Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera
Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka
Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha
Tumhain Khabar Hee Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka
TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai
Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka
“Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun
Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka

Hum tere hijar mein

Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain
Zinda lagte hain magar asal mein mar jate hain
Jab kabhi bolta hai hai hanss ke kisi aur se tu
Kitne khanjar mere seeney mein utar jate hain
Teri yaadon ki agar’batiyan jal uthte hi
Hum tere dard ki khushbu’on se bhar jate hain
Hum se awaara phira karte hain galiyon mein kahin
Shaam hote hi Wasi log to ghar jaate hain

Hum ne jo deep jalaye

Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein
Apne kuch khawb sajaye hain, teri galiyon mein
Jaane yeh ishq hai ya koi karamat apni
Chaand le ker chale aaye hain, teri galiyon mein
Tazkraa ho teri galiyon ka to dar jata hai
Dil ne woh zakhm uthaye hain, teri galiyon mein
Is liye bhi teri galiyon se humain nafrat hai
Hum ne armaan ganwaye hain, teri galiyon mein
Kyon har ik cheez adhoori si lagti hai
Jaane kya chorr aye hain, teri galiyon mein

Choomna kya usey aankhon

Choomna kya usey aankhon se lagana kesa
Phool jo coat se gir jaye uthaana kesa
Apne honton ki haraarat se jagaao mujh ko
Yoon sadaaon se dam’e’subaah jagana kesa

Kuch nahin paaye ga woh mujh

Zar ki namoos ki rasmon se baghaawat kar ke
Kuch nahin paaye ga woh mujh se mohabbat kar ke
Baiy’n karti huyi aankhain, yeh pareshan zulfain
Aur kya chahte ho us se mohabbat kar ke
Phool to phool hain zakhmon ke bhi nakhre hain yahan
Hum ne dekha hai bohat in ki ibadat kar ke
Yeh kisi jabr pe honton ko siyaa karte hain
Zulam karte hain woh zaalim ki himayat kar ke
Dil ke sehraao’n ki veeraaniya’n jati hi nahin
Teri yaadon ne bhi dekha yahan hijrat kar ke
Woh mere hijr ko bhi khail samajhta hai Wasi
Laut jaye ga kisi roz sharaarat kar ke


Jo bhi deewar hai raste main


Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain,
Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain,
Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain,
Yu’n karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain,
Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain,
Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain

Jub Bhi Wo Shakhs




Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye
Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye
Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa
TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye
Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab
Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye
Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain
Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye
Ye Tareeqa Hai Mohabbat Ki Ibaadat Ka “Wasi”
Os Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye
Save My Love For Loneliness HD wallpaper for Standard 4:3 5:4 Fullscreen UXGA XGA SVGA QSXGA SXGA ; Wide 16:10 5:3 Widescreen WHXGA WQXGA WUXGA WXGA WGA ; HD 16:9 High Definition WQHD QWXGA 1080p 900p 720p QHD nHD ; Other 3:2 DVGA HVGA HQVGA devices ( Apple PowerBook G4 iPhone 4 3G 3GS iPod Touch ) ; Mobile VGA WVGA iPhone iPad PSP Phone - VGA QVGA Smartphone ( PocketPC GPS iPod Zune BlackBerry HTC Samsung LG Nokia Eten Asus ) WVGA WQVGA Smartphone ( HTC Samsung Sony Ericsson LG Vertu MIO ) HVGA Smartphone ( Apple iPhone iPod BlackBerry HTC Samsung Nokia ) Sony PSP Zune HD Zen ; Tablet 2 Android 3 DVGA HVGA HQVGA devices ( Apple PowerBook G4 iPhone 4 3G 3GS iPod Touch ) ;

No comments:

Post a Comment