Thursday 25 April 2013

Ishq Shayari


Pagal bana deta hai ye ishq. . !


Jigar jala deta hai ye ishq
Ghum barha deta hai ye ishq
Kabhi kabhi aisa bhi hota hai
Pagal bana deta hai ye ishq
Bikher jaty hain sehra mein taza phool
Umeedain mita deta hai ye ishq
Ujarr jaty hain aabad gharanay
Aisa barbaad karta hai ye ishq
Ik awaara mizaaj ko bhi
Qaidi bana deta hai ye ishq
Jis ne kiya wohi janta hai ‘Gul’
Kia se kia bana deta hai ye ishq.


Itni kar muhabbat k wo khud kahain. .
Itni kar muhabbat k wo khud kahain
Dekho wo mera aashiq aa raha hai. . !

Kuch Zard C Hai Rangat. .


Kuch zard si hai rangat kuch laaghari badan . .
Kia Ishq mein hua hai ae ‘Meer’ haal apna. .




Guzray hain aaj ishq mein hum us maqaam se


Mushkil boht tha ishq ki baazi ka jeetna. .
Hum jeetnay k shauq mein haaray chalay gaye. .

Jaan-e-Aziz Saath Hain. . !


Yun to teri mohabbat’ain jaan-e-aziz sath hain
Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain
Sirf ye ik ghazal nahi, is mein hain kuch safaiyan
Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Jism hi manzil, talab apny khayal ki nahi
Aur bhi kuch zarurat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Apny liye to aik bhi, lamha jaan-e-fiza nahi
Apni kahan rafaqat’ain jaan-e-aziz sath hain
Aisay bandhay hua hain hum, sham-o-seher ki dor mein
Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Tum bhi ho is se ba-khabar, hum hain kahan k mo’tabar
Apni tamam qeemat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Dil tou behel hi jaye ga, tanha safar mein hum nahi
Guzri hui kaee rut’ain, jaan-e-aziz sath hain. . . !

Ishq Ruswa Tha Magar. . !


Hum se pehly bhi ye martaba-e-daar na tha
Ishq ruswa tha magr yun sar-e-bazaar na tha!


Abhi Aye, Abhi Chalay . .


Ho umr-e-khizar bhi to kahaingy ba-wakt-e-marg
Hum kia kar rahy yahan, abhi aaye abhi chalay. . !


Hum Na Hoty Tou . . !


Hum na hoty to kisi aur k charchay hoty, ,
Khalqat-e-duniya tou kehny ko fasanay mangay. . !


Hum Ne Ishq Gunah Se . .


Hum ne ishq gunah se bartar jana tha. .
Aur dil per ye pehla pathar afsos ka hai. !


Tark-e-Ta’alluq Kar Tou Chukay Hain. . !


Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai
Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai
Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya
Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai
Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain
Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai
Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain
Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai
Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun
Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai
Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy
Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai. . !

Aisi Deewangi Se Kia Haasil?


Quwwat-e-fikr jis mein ghatt jaye
Zehn tareek’ion mein butt jaye
Dil ghubaar-e-alum mein att jaye
Aadmi zindagi se katt jaye
Aisi deewangi se kia haasil?
Is ghum-e-aashiqi se kia haasil?
Ishq aisa to ho k jiski chamak
Dil ki tareeek’ion ko door kary
Fikr ko aabshaar-e-noor kary
Sheesha-e-ghum ko choor choor kary
Aisi deewangi se kia haasil?
Is ghum-e-aashiqi se kia haasil?

Phool Khilnay Ki Gharri. !


Pehlay aap batain mujh ko
Aap ka chehra peela kyun hai?
Aap k kapray mailay kyun hain?
Wo neeli si shirt kahan hai?
Aap ki leather belt kahan hai?
Ainak k number kyun badlay?
Kyun dhundli dhundli hain aankhain?
Kyun itna likhtay parhtay hain?
Aap k in uljhay baalo’n ko
Kon wahan suljhaata ho ga?
Is wehshi, is Maztar dil ko
kon wahan behlata ho ga?
Wo to dasht hai tanhai ka
Chain wahan kab aata ho ga?
Resham jaisy kitny sawaalo’n k guchay hain
Jo pardes se ghar aaty hi khul jaaty hain
Sochta hun mein
Maa’n, mehbooba aur bivi
Ye teeno’n rishtay
Aapas mein jab mil jatay hain
Jaisay Door kahin sehra mein
Taaza Phool Khil Jaatay Hain. . !


Wo Mery Paas Aa Kar Kharri Ho Gai . . !


Mery haalaat ki abtari dekh kar . .
Us k abbu ne thukra diya tha mujhy . .
Phir achanak wo ik anjuman mein mili . .
Apni khamosh palkain jhukaye huay . .
Wo mery pas aa kar kharri ho gai . .
Chand lamho’n talak khanjar-e-khamoshi ..
Dheeray dheeray kalaij’on mein chalta raha. .
Waqt hairan aankho’n ko malta raha. .
Phir zara daair mein mozu-e-guftugu. .
Apny hath aa gaya. .
Yani mosam, siyasat, ghum-e-zidagi. .
Dair tak us se jee bhar k baatain hui’n. .
Phir wo chaltay huay aik pal ko ruki . .
Mujh se kehny lagi:
Shayari se bhala kia mila aap ko?
Sirf palko’n ka num?
Sirf yaado’n ka ghum?
Aap ki shohratain, aap ko besh-o-kam . .
Kuch na de gi kabhi shayari mohtaram. . !
Mat bura maniye ga meri baat ka. .
Ye taqaza hai mojooda haalaat ka. .
Is liye jan-e-man shayari chorr kar. .
Fann k in raigzaaro’n se munh morr kar. .
Ab Dubai aur Musqat ka rukh kejiye. .
Chand barso’n mein jab aap ki jaib mein. .
Aath dus laakh ho’n. .
Tab watan aaiye. .
Aur abu se phir maang lejiye mujhy. !


Yehi Behtar Hai K . .

Yehi behtar hai k katra k nikal janay do
Saamna ho ga to phir tujh pe machal jaonga. !


No comments:

Post a Comment