Wednesday 10 April 2013

Faiz Ahmad Faiz Poetry


sach faiz
Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay
















raaz-e-ulfat faiz
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia







mohabbat faiz

 Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K
Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai
Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K
Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K
Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K
Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj ‘Faiz’
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K





No comments:

Post a Comment