Wednesday 24 April 2013

Bewafa Shayari


Wo kaha karta tha. . !


Wo kaha karta tha
Jab
Mein tujhy bhoolunga
To wo din zindagi ka
Akhri din ho ga
Us raat taaray
Na chamkaingy
Us subha
Suraj na
Nikley ga
Wo kaha karta tha
Meri har
Saans se
Tu wabasta hai
Aaj jab us
Ne rasta badla
Tou
Yaad aya
Wo kaha karta tha


Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se?


Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se
Bicherney walay! Sabab to bata judai ka. . !




Guzray hain aaj ishq mein hum us maqaam se

Guzray hain aaj ishq mein hum us maqaam se
Nafrat si ho gai hai muhabbat k naam se. . !


Geela kaghaz ki tarha zeest hamari thehri.


Geela kaghaz ki tarha zeest hamari thehri. .
Koi likhta bhi nahi, Koi jalata bhi nahi. . !




“Jaan-e-man! Mehsoos mat karna magar



Kitni aasani se us ne likh diya
“jaan-e-man! Mehsoos mat karna magar
In dino’n beemar bhi hoon aur kuch haalaat bhi achy nahi
Raat din socho’n mein gum rehti hoon mein
“Tum” rehti hoon mein
Ik guzarish hai bura mat manna
Mery khat aur meri tasweer’ain tamaam
Mujh ko wapis bhej do
Meri mangni honay wali hai, boht majboor hoon”
Us ki tasweerain aur us k khat tamaam
Meine chun chun kar rawana kar diye
Us ne phir likha k sari zindagi
Apni tehreer’on, tasweer’on ki surat mein sadaa
Ab tumhain dekhungi mein
Apni sanso’n k boht nazdeekh paungi tumhain
Doosro’n k wastay mein bhool jaungi tumhain . . !




Guzar gaya koi thokar laga k aaj mujhay. .


Guzar gaya koi thokar laga k aaj mujhay
K jaisy mein bhi khiza’n ka haqeer patta tha .




Guzarney walay youn sarsari na guzar dil se. .


Guzarney walay youn sarsari na guzar dil se
Muskan shikasta sahi per makeen rakhta tha. !




Chonk parra un ki sadaa per. .


Gardaab mein, chonk parra un ki sadaa per
Ehsaan ye mujh per mery ehbaab na kartay. . !




Is Dil Ne Teray Baad Muhabbat Bhi Nahi’n Ki. .


Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki
Had ye k dharakney ki jasaarat bhi nahi’n ki
Tabeer ka aizaz hua hai usey haasil
Jis ne mery khuwabo’n mein sharakat bhi nahi’n ki
Ulfat tou barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logo’n ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi’n ki
Aadab-e-safar ab wo sikhatay hain jinho’n ne
Do chaar qadam tay ye musaafat bhi nahi’n ki
Kia apni safai mein bayaa’n daity k hum ne
Nakarda gunaho’n ki wazahat bhi nahi’n ki
Khamosh tamashaai k manind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahi’n ki
Us ghar k sabhi log mujhy chorrney aaye
Dehleez talak us ne ye zehmat bhi nahi’n ki
Us ne bhi ghulam’on ki safo’n mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi’n ki. . !

Mein tou usko dekhtay hi jaisy pathar ho gaya
Baat tak na munh se nikli be-wafa k saamney. . !






Wo Sitam’gar Mery Marney Pe Bhi Raazi Na Hua. . !



Meine chaha tha andoh-e-wafa se chootu’n
Wo sitam’gar mery marnay pe bhi razi na hua. . !






Majrooh Jin Se Dil Hi Nahi’n. . .


Majrooh jin se dil hi nahi’n, Rooh tak hui. .
Wo teer ittefaq se ik aashna ka tha. . !






Lota Tou Mery Paas Aya. .


Wohi kahi’n bhi gaya, lota tou mery paas aya. .
Bus yehi baat hai achi mery harjaai ki. . !






Zanjeer-e-Wafa . .


Hamary paao’n mein tum ne zanjeer-e-wafa daali, ,
Tumhary haath se kyun rishta-e-mehr-o-karam choota. . !







Tark-e-Ta’alluq Kar Tou Chukay Hain. . !


Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai
Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai
Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya
Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai
Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain
Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai
Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain
Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai
Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun
Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai
Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy
Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai. . !

Hum Hi Mein Na Thi Koi Baat. .


Hum hi mein na thi koi baat jo yaad na tum ko aa sakay
Tum ne humain bhula diya, hum na tumhain bhula sakay. . !



No comments:

Post a Comment