Friday 12 April 2013

Ahmad Faraz


Ahmad Faraz

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Ahmad Faraz

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki 
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki 
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki 
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki

Ahmad Faraz 


Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon 
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon 
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon 
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon 
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon 
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon

Ahmad Faraz

Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana,
Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana,
Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,
Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana,
Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher,
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana

Ahmad Faraz

Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.

Ahmad Faraz

Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

Ahmad Faraz

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga
Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga
Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga
Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga
Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga
Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga


Ahmad Faraz


Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Loog Aaraam Se Soye Honge
Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge
Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge
Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge
Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz”
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge

Ahmad Faraz

Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain
Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain
TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain 
Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain
Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai “Faraaz”
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain

Ahmad Faraz



Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain
Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain
Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain
Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain
Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain



No comments:

Post a Comment