Tuesday 23 April 2013

Aansoo Shayari


 Na kisi ki aankh ka noor hoon..


 Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Kisi bhi kaam mein jo na aa sake mein woh musht-e-ghubaar hoon..







Guftugu kejiye k ye fitrat-e-insan hai. 


Guftugu kejiye k ye fitrat-e-insan hai ‘Shakeb’
Jaalay lag jatay hain jab band makaan hota hai. . !



Meri Rooh Ki Haqeeqat Mery Aansuo’n Se Pooch!


Meri rooh ki haqeeqat mery aansuo’n se pooch!
Mera majlisi tabassum mera tarjumaa’n nahi’n hai. .



Muddat K Baad. . !


Muddat k baad azn-e-tabassum mila magar. .
Wo bhi kuch aisa talkh k aansu nikal parray. .


Khud Ko Kho Raha Hoon!


Mein takiye per sitaray bo raha hoon. .
Janam din hai, Akela ro raha hoon. .
Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. .
K mein ander se kaisa ho raha hoon. .
Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. .
Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. .
Sabhi parchaai’an hain saath lekin. .
Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. .
Mujhy in nisbato’n se kon samjha?
Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. .
Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. .
K jaisay jagtay mein so raha hoon. .
Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’
Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !

Kabhi Tu Ne Bhi Socha Hai K Ye Pyaas Hai To Kyun Hai?



Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai?
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?
Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai?
Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai?
Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai?
Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?
Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?
Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?



Tark-e-Ta’alluq Kar Tou Chukay Hain. . 


Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai
Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai
Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya
Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai
Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain
Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai
Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain
Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai
Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun
Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai
Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy
Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai. . !



Ye Dil Zakhm Hai. !


Ye dil zakhm hai ik roz bhar hi jaye ga
Shagaaf pur nahi hotay faqat chataan’on k . !





Zabt se ehed bhaandh rakha tha..


Zabt se ehed bhaandh rakha tha,
Aur phir bhi bikhar gaye aansuu..


Bay tawaja tou nahi hum chaman ki tabahiaan


Bay tawaja tou nahi hum chaman ki tabahiaan,
Kuch baaghbaan hain Barq o sharar say milay huye..



Bohat aziz hain aankhain meri usay lekin


Bohat aziz hain aankhain meri usay lekin,
Wo jaatay jaatay kar gaya unhain purnam phir..




Hosla dil main naa tha ashkoon se tar ankhein theen


Hosla dil main naa tha ashkoon se tar ankhein theen,
Warna hum tujh ko duaon main hi rukhsat kartay..




Yeh kis maqaam pe ly aaye hain tujhe khalaat


Yeh kis maqaam pe ly aaye hain tujhe khalaat,
key teri aankh bhi pur-nam dikhai deti hai
..



Na janey ho gaya hun is qadar hassas me kab sey..


Na janey ho gaya hun is qadar hassas me kab sey,
Kisi sey bat karta hun to ankhien bheeg jati hain..




Jo anso’on me beh kar laho me zinda hai..


Jo anso’on me beh kar laho me zinda hai,
Ye kesa dukh hai meri chashm e tar sey pocha jaye..




No comments:

Post a Comment